IGNOU ADMISSION RELATED QUESTIONS FAQ |IGNOU| |STUDY MATERIAL| |ASSIGNMENT|

IGNOU Me Online Admission Se Jude Question Ke Answer

Q 1. IGNOU me Online Admission kab le sakte hai ?

Ans :-  Chuki IGNOU hark year me 2 sessions (January and June) chalta hai. Isliye aap harek year isme jab admission chal raha ho tab dono me se kisi bhi session me Online Admission le sakte hai.

Normally January Session ka Admission harek year September me start ho jata hai, And June Session ka Admission harek year March me start ho jata hai.

 

Q 2. IGNOU me Online Admission Start ho gaya hai yah hame kaise pata chalega ?

 

Ans :- IGNOU harek year Admission start hone se pahle apne official website (www.ignou.ac.in) me ek Announcement jarur karta hai. Inke official website se iski jankari aap aasani se le sakte hai. Inke Regional Center and Study Center se bhi iski jankari le sakte hai.

 

Q 3. Kya mai IGNOU ke sabhi programs ke liye Online Admission le sakta hu ?

Ans :- Aap IGNOU ke Common Prospectus me offer sabhi academic programmes me Online Admission le sakte hai. Common Prospectus IGNOU ke dwara harek session me Admission start hone se pahle iske official website me publish hota hai.

Q 4. IGNOU me Online Admission lene me kya hame Original Certificate jama karna padta hai ?

Ans :- Bilkul nahi, IGNOU kabhi bhi Original Certificate ki mang nahi karta hai. Chuki yah ek Open University hai isliye yah Offline Admission me Certificate ka xerox and Online Admission me Certificate ka scaned copy mangta hai.

 

Q 5. IGNOU me Online Admission ka Fee kaise pay kar sakte hai ?

Ans :- IGNOU Fee pay karne ke liye Online Pay karne ke sabhi suvidhaye deta hai jaise – Debit Card, Credit Card, Net Banking etc. sabhi se aap pay kar sakte hai.

Q 6. Kis tarah ke Credit / Debit Card IGNOU Programme fee payment me accept kiya jata hai ?

Ans :- Visa and Master Cards IGNOU Programme Fee ko pay karne me accept kiya jata hai. Agar aapke paas Net Banking hai to use bhi accept kiya jata hai.

 

Q 7. Agar Payment karte time hamare Credit/Debit Card/ Bank Account se paise kat jaye lekin IGNOU ka Confirmation na mile to kya kare ?

Ans :- Agar payment karte time kisi karan se aapka paise kat jaye aur Acknowledgement / Confirmation na mile to aap apne transaction detail jisme – Name, Programme, Mobile Number, Amount etc. ko Online Admission Support Team ko 011-29572514 me ya www.igram.ignou.ac.in par apna request submit kar sakte hai.

 

Q 8. IGNOU me Online Admission form fill up karte time agar Power/Internet Connection Fail ho jaye to kya kare ?

Ans :- IGNOU me Online Admission ke samay harek stage me aapka fill kiya hua detail “Save” button par click karte hi save ho jata hai. Agar kisi karan se aapka Power/Internet connection fail ho jaye ya kat jaye to fir se username and password ka use karke kabhi bhi login karke usi step se aage ka form fill karna start kar sakte hai. Aapko dubara se start se form fill nahi karna padega.

Q 9. Admission form submission successful hone ke baad ham kaha Contact kare ?

Ans :- Jab aapka admission form submission successful ho jayega tab aapko isse related sare information University ki taraf se aapke Contact Number and Email Id me provide kiya jata hai. jaise – Confirmation of your admission, allotment of study centre, regional centre and other details.

 

Q 10. Admission Confirm hone me kitna time lagta hai ?

Ans :- Aapka submit kiya hua Admission Form aapke Regional Centre dwara verified and accept kiya jata hai. Jab aapka Admission confirm ho jata hai tab aapke Contact Number and Email me confirmation detail bhej diya jata hai. Iske liye koi Fixed Time nahi hai.

 

Q 11. Kya IGNOU me Online admission ke time Photograph aur Document ke Scanned copy upload karna jaruri hai ?

Ans :- “HA“. Online Admission ke time required size me Photo, Signatre and supporting document upload karna jaruri hai. Agar aap aisa nahi karte hai to Admission form reject hone ke liye aap khud responsible honge.

 

Q 12. Photo, Signature and Document ka Required Size kya hai ?

Ans :- IGNOU Online Admission ke time upload karne wale Photo, Signature and Document ka Required Size less than 100 kb hai. Agar aapka koi bhi Photo, Signature and Document 100 kb se jayada ka hoga to wah upload nahi hoga.

Q 13. IGNOU me Online Admission hone ke baad kon se books padhna padta hai ?

Ans :- IGNOU apne students ko khud hi pura books FREE me provide karta hai. In books ko padhkar aap aasaani se exam paas ka sakte hai. Aapko bahar se koi book purchase karne ki koi jarurat nai padti hai.

Ha agar aap supporting books and Question Bank purchase karna chahte hai to unko purchase karke help le sakte hai. Lekin yaha aapka janana jaruri hai ki ye Supporting Books bhi IGNOU ke diye hue books ka use karke hi banai jati hai.

 

Q 14. IGNOU me Online Admission ke baad Books kaha se milega ?

Ans :- IGNOU Students ko 2 tarah se Books provide karta hai.

  1. By Post and
  2. IGNOU Centres
  3. E-Books

Mainly agar aap online admission karwate hai to books aapke diye hue address me by post hi bhej diya jata hai. Lekin kai baar kuch problem ke karan books aapke ghar me post nahi kiya ja sakta hai to aapko IGNOU ki traf se call aata hai aur bataya jata hai ki aapko books kaha se milega. call aane ke baad waha jane se aapko books mil jati hai.

Q 15. IGNOU me kya class karna jaruri hai ?

Ans :- Ji “NAHI“. IGNOU ek open university hai isliye isme class lena koi jaruri nahi hai. Agar aapko padhai me koi dikkat ho to apne Study Centre me jaakar waha ke teachers se help le sakte hai.

IGNOU ke teachers regular colleges ke professors hi hote hai isliye waha se aapko jo bhi dikkat hai uska sahi tarah se help milegi.

Inhe Bhi Jaane :-

  • IGNOU Identity Card Online Download Kaise Kare ?
  • IGNOU Assignment Question Free Me Download Kaise Kare ?

Dosto ye kuch Sawal the jo lagbhag sabhi student ke man me IGNOU me Online Admission lete time ya usse pahle rahta hai. Saath hi unke jawab bhi maine aapko bata diye hai. Agar ab aap IGNOU me  Online Admission lena chah rahe hai to yaha click iska karka complete process step-by-step jaan sakte hai.

Agar abhi bhi aapke man me aur koi sawal IGNOU Online Admission se related hai to Comment Box me likhkar hame bataye. Ham aapka sawal aur jawab FAQ ke agle Post me jarur saamil karenge.